Ham Ki Thahre AjnabiiHam ki thahre ajnabiHam ki thahre ajnabii itnii mulaqaaton ke baadPhir banenge aashnaa kitnii mudaaraaton ke baadKab nazar men aayegi be-daagh sabze kii bahaarKhuun ke dhabbe dhulenge kitnii barsaaton ke baadThe bohat be-dard lamhe khatm-e-dard-e-ishq keThiin bohat be-meher subahen meherbaan raaton ke baadDil to chaaha par shikast-e-dil ne mohlat hii na diiKuchh gile shikwe bhii kar lete munaajaaton ke baadUnse jo kahne gaye the faiz, jaan sadqe kiyeAnkahii hii rah gayii voh baat, sab baatoon ke baadTranslationAashnaa = acquainted, friendl
Dukh Dard Mein HameshaDukh dard mein hameshDukh dard mein hamesha nikale tumhaare khatAur mil gayi khushi to uchhaale tumhaare khatSab chudiyan tumhari samandar ko saunp diAur kar diye hawa ke havale tumhare khatMere lahoo mein goonj raha hai har ek lafzMaine ragon ke dasht mein paale tumhare khatYun to hain be-shumar wafaa kee nishaniyanLekin har ek shai se nirale tumhare khatJaise ho umar bhar ka asasa garib kaKuch is tarah se maine sambhale tumhare khatAhl-e-hunar ko mujh pe 'wasi' aitraz haiMaine jo apne sher mein dhaale tumhare khatParwah mujhe nahin hai kisi chand ki 'wasi'Zulmat ke dasht mein hain ujale tumhare khat
Ab Jo Laute HoAb jo laute hAb jo laute ho itne saalon meinDhoop utri hui hai baalon meinTum meri aankh ke samandar meinTum meri rooh ke ujalon meinPhool hi phool khil uthe mujh meinKaun aaya mere khayalon meinMaine jee bhar ke tujh ko dekh liyaTujh ko uljhaa ke kuch sawalon meinMeri khushiyon kee kayenat bhi tuTu hi dukh dard ke hawalon meinJab tera doston mein zikar aayeTheess uthti hai dil ke chaalon meinTum se abaad hai yeh tanhaiTum hi roshan ho ghar ke jaalon meinKya use yaad aa raha hun 'wasi'Rang ubhre hain uss ke gaalon mein
Bahut Ho Chuka Intezar UnkaBahut ho chuka intezar unkaAb aur zakham sahe jaate nahiKya bayaan karein unke sitam koDard unke ab kahe jaate nahi
Har Zakhm Kisi Thokar Kee Meharbani HaiHar zakhm kisi thokar kee meharbani hai;Meri zindagi bas ek kahani hai;Mita dete sanam ke dard ko seene sePar ye dard hi uski akhiri nishani hai
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota HaiKyon hijr ke shikwe karta hai kyon dard ke rone rota haiAb ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai